Istikhara Online – Sunnat Tareeqa aur Rehnumai
Istikhara ka matlab hai Allah se bhalai maangna. Jab aap kisi ahem faislay mein uljhe hon, to Pyare Nabi (S.A.W.) ne istikhara ki dua sikhayi hai taake banda ghalat faislay ke nuqsan se bach sake.
Online istikhara mein aap WhatsApp par apna masla bhejte hain. Aap ke liye istikhara kiya jata hai aur rehnumai aap tak pahunchayi jati hai. Aap khud bhi istikhara kar sakte hain, hum sirf rehnumai aur natija samajhne mein madad dete hain.
Istikhara Ka Masnoon Tareeqa
Nabi Kareem (S.A.W.) ki taaleemat ke mutabiq istikhara ka aasan tareeqa:
Wudu & Nafil
Taza wudu karein aur do rakat nafil namaz ada karein.
Masnoon Dua
Salam pherne ke baad Istikhara ki masnoon dua parhein.
Masla Pesh Karein
Dua mein apna masla (shadi, rishta, karobar) Allah ke saamne rakhein.
Dil Ka Mutmain Hona
Apni aam zindagi jaari rakhein aur dil ke sukoon aur raste khulne ka intezar karein.
Istikhara Kin Masail Mein Karein?
- ✓ Shadi aur Rishta: Naya rishta ya do rishton mein faisla.
- ✓ Naukri ya Karobar: Naye business ya job change ka faisla.
- ✓ Safar ya Hijrat: Pardes jane ya shift hone ka irada.
- ✓ Ghar ya Jaidad: Koi bari khareed-o-farokht ka faisla.
Aksar Poochhay Jane Walay Sawal
Nahi. Istikhara ka asal natija dil ka sukoon aur halaat ka aasan hona hota hai. Khwab aana bilkul zaroori nahi hai.
Ji haan, agar pehli dafa dil mutmain na ho to dobara 3 ya 7 martaba istikhara kiya ja sakta hai.
Apna Masla Batayen – Sincere & Private Guidance
WhatsApp par direct message karein: 0344 7417116. Apna naam aur masla mukhtasar likh dein. Syed Ali Hussain Naqvi aap ko zimmedari aur deeni roshni mein waqt par jawab denge.
Deeni Wazahat: Istikhara aur rohani rehnumai Allah ki madad se rehnumai hai. Natijay ka wada ya guarantee nahi di jati. Final faisla aap aur aap ke walidain ka hota hai.